*1459...Jaan_e_ Aarzu...Pak Old By Akhtar Sharani*
Main aarzu_e_jaan likhon ya jaan_e_aarzu
Tue hi bata de naaz se emaan_e_aarzu
Aansu nikal rahe hain tasawar main ban k phool
Shahdaab ho raha hay gulestan_e_aarzu
Emaan wa Jaan nisaar teri ek nigah par
Tue jaan_e_ aarzu hay tue emaan_e_aarzu
Hone ko hay talu,Saba_e_ shab wasaal
Bujhe to hain chirag shabestan_e_aarzu
Ek woh k aarzuon pe jete hain umrbhar
Ek ham k hain abhi se pasheymaan_e_ aarzu
Aankhon se joye khun hay rawaan dil hay dag dag
Dekhe koy bahaar_e_ gulestaan_e_aarzu
Dil main nishat_e_rafta ki dhundali se yaad hay
Ya shama_e_wesl hay tah daman_e_aarzu
Akhtar ko zindagi ka bharosa naheen raha
Jab se luta chuke sard samaan_e_aarzu
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment