`Ab soch merey dost, Khuda hey ke nahi hey`
Ye Aag, ye pani, ye hawa, hey key nahi hey?
Ye Barq, ye bara'n, ye ghata, hey key nahi hey?
Ye phool,, ye kalia'n, ye saba, hey key nahi hey?
Har rang me jalwa-numa, hey key nahi hey?
Ab soch merey dost, Khuda hey ke nahi hey
Ye chand, ye soraj, ye sitarey hain safar me
ye bahr, ye amwaj, ye dharey hain safar me
Fitrat ke dil awaiz nazarey hain safar me
In ka bhi koi Rahnuma, hey ke nahi hey
Ab soch merey dost, Khuda hey ke nahi hey
Ye daney ke seeney pe Shajar rakh dia kis ne
Ye sang ke pehlu me sharer, rakh dia kis ne
Ye qatra-e-nisaan me gahar rakh dia dis ne
Ye moojza-e-Rab-e-Al ha hey ke nahi hey
Ab soch merey dost, Khuda hey ke nahi hey
Pheley huey har simt, kamalaat hain kis ke
Ye loh-o-Qalam, Arz-e-samawaat hain kis ke
Ta had-e-nazar, sabt nishanaat hain kis ke
Ehsaas tujhe is ka zara hey ke nahi hey
Ab soch merey dost, Khuda hey ke nahi hey
Kis zaat ka lehro'n ki zaba'n per hey wazifa
Kis zaat ka haibat ka samandar hey sahifa
Kis zaat ne insaan ko banaya hey khalifa
Aey kor-e-nazar deeda-e-wah hey key nahi hey
Ab soch merey dost, Khuda hey ke nahi hey
Ye wadia'n, ye koh-o-bayabaa'n hain kis ke
Kis ke hain ye gulzaar, ye maidaan hain kis key
Ye Bahr, ye bar, taba-e-farma'n hain kis ke
Nazron me teri Arz-o-Sama'n hey ke nahi hey
Ab soch merey dost, Khuda hey ke nahi hey
`
Rose!