`
Maqroz k bigRey huye halaat ki manind,
Majbor k hontoñ pe sawalaat ki manind,
Dil ka teri chahat meiñ ajab haal huwa hai,
Sailaab se berbad makanaat ki manind,
Maiñ un meiñ bhatakte huye jugnu ki terah Hon,
Us shakhs ki ankheiñ haiñ kisi rat ki manind,
Dil roz sajati Hon meiñ dulhan ki tarah se,
Ghum roz chale atey haiñ barat ki manind,
Ab ye b nahi yad k kya naam tha us ka,
Jis shakhs ko manga tha manajat ki manind
Kis darja mukaddas hak tere qurb ki khawaish,
Masoom se bache k kheyalat ki manind
Us shakhs se milna mera mumkin hi nahi hai
Maiñ peyas ka sehra hoñ wo bersat ki manind.`
Rose!