great.
On 30 April 2012 00:19, saba sagar <gulerana43@yahoo.com> wrote:
*1440...Guzrey Lamhoon Ki...Pak Old*Guzre lamhoon ki ulji hui door k us taraf
khawab mere jahan mati main they
Baarshon ne wahan ghaas itni uga de
Koi rehnama si ilamat, nishani kuch bacha hi naheen
Kuch bacha hi naheen k kisi yaad ki
koy ulji hui gira kholty!
Woh sira dhundhty!
Eik bheidoon bhara aur zamanoon pe phela huwa
Woh sira dhundhty!
Jo kaheen khawab aur us ki thabir k darmiyan kho geya!
Ho chuki hain bohut hijar ki baarshain
Din bohut ja chuke!
khawab mere jahan dafan mati main hain
Ab wahan har taraf ghaas hi ghaas hay
Aur is ghaas main sarsarata huwa
Saanp sa eik dar hay,
kaheen yeh na ho!
Dhundty dhundty woh sira mil bhi jaey!
Woh girah khol bhi jaey!
Toh lamhon ki uljhi hui dour k us taraf
Kuch na ho......!!!
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment