Bismillah Ir rehman Nir Raheem
Bahut naaz hai Tujhe is duniya par aey Insaan jiske liye tu apne khuda ko bhula betha hai???
kya karlegi yeh duniya tere liye jis par tu aas lagaye betha hai??
Meri ibaadat tujhe choti lagti hai yeh duniya ki khawishon ke muqable?
yeh duniya Ek din Tere hi janaze pe aakar Kahenge aur Kitni der hai Dafnaane me isse???
Meri ibaadat tujhe choti lagti hai yeh duniya ki khawishon ke muqable?
yeh duniya Ek din Tere hi janaze pe aakar Kahenge aur Kitni der hai Dafnaane me isse???
Aur jo tauba karle aur Imaan le aaye,aur ache kaam kiye,phir seedhe raaste par chale,to main usko bakhsh doonga
Sureh TaHA aayat no:82
To jo naik kaam karenge aur momeen bhi hoga,to uski koshish zaaye na hogi aur hum isko likh rahe hai
Sureh Ambiya aayat no:94
Aur jo Allah ki madad karta hai Allah uski zaroor madad karta hai ,bila-shuba Allah badi quwat waala aur bada ghalba rakhne waala hai
Sureh Hajj aayat no:40
Jo naik kaam karenge mard ho ya aurat ,ba-shart ye ke momeen ho to hum usko achi zindagi denge aur unke ache aamaal ka unko hisa denge
Sureh Nahl, aayat no.97
Jo log Allah se bina dekhe darte hai to unke liye bakshish aur bada sila hai (sureh Mulk aayat no-12)
to jo apne rab se milne ki khaasish rakhta hai to usko chahiye ke naik aamal kare,aur apne rab ki ibaadat main kisi dusre ko shareek na kare
Sureh Kahaf aayat no:110
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment