yah jeevan bhi ek ajeeb khel dikhlata hai
kabhi phoolon ke rahon par chalata hai
to kabhi glani ke sarita mein dubata hai
yaha jeevan bhi ek ajeeb khel dikhlata hai
jeevan ke is asthayi daud mein
manushya,parishram karo tum ji tod ke
asambhav kehna ghor paap hai
pragati ke liye yaha shabd abhishap hai
rah mein tumhari bahut baadhayein aayengi
jo shayad tumhara kuch bigadna chahengi
samna karo tum unka dat kar
dusron ke liye prerna bano apne lakshya ki or aage badkar
sadhbhav aur mitrata jeevan ke mul bhav hai
ekta se hi chalti hai yaha asthayi naav
doobne ke dar se zara mat ruko tum
he manushya chale chalo tum,chale chalo tum
0 comments:
Post a Comment