<>_<>Bholi si ada koi fir ISHQ ki zid par hai <>_<>
Masoom Mohabbat ka bas itna fasana hai
Kaagaaz ki haveli hai, baarish ka Zamana hai
Kya Shart-E-Mohabbat hai, kya Shart-E-Zamana hai
Aawaz bhi Zakhmi hai aur geet bhi gana hai
Us paar utarne ki umeed bahot kam hai
Kashti bhi purani hai, Tufaan ko bhi aana hai
Samjhe ya naa samjhe wo andaaz mohabbat ke
Ek Shaks ko ankhon se Haal-E-Dil sunana hai
Bholi si ada koi fir ISHQ ki zid par hai
Fir aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.

0 comments:
Post a Comment