*1583...Joban Pay Thi Bahaar...Pak Old*
Rateen theen chandni
Joban pay thi bahaar
Bagoon main phool jhum rahe they khushi k sath
Hansta tha paat paat
Itne main aik bhanware ki piyasi nigah ne
Dekha jo doour se
Ek phool jhum jhum k hansta tha bar bar
Joban pay thi bahaar
urta huwa machalta huwa aa gaya wahan
Phuloon k aas paas
Kuch geet gunguna k sunane laga unheen
Ulfat k peyaar k
Bhanware ka pyaar dekh k shrma gaya gulaab
Sar ko jhuka diya
Phuloon ki is ada par use pyaar aa gaya
Bhanware ne bhar kar phool ko dil se laga liya
Dekha jo chand ne yeh tamasha tarap gaya
Badal main choup gaya
Joban pay thi bahaar
Ek rooz kia huwa
Khamosh thi faza
They aasman pay chand na tare na chandni
Yahni thi dopahir
Bhanware ki narm good main soya huwa tha phool
Duniya se bekhabar
Bhanwara chura k aankh nihayat safai se
Hole se uth gaya
Phuloon main jitna ras tha woh chori se pe gaya
Chupke se ur gaya
Angrai le k phool utha jab hawa chali
Dekha toh us ki mast jawani thi lot chuki
Joban pay thi bahaar
Pahle toh woh is sitem pay hairaan ho gaya
Sadmen se ro diya
Phir baadloon ki tarha pareshan ho gaya
Be jaan ho gaya
Yun phool ko jo dekha toh ciski hawa ne li
Har pati kaanp uthi
Tare se yeh na dekha gaya aankh mondh li
Shabnam bhi ro pari
Ab bhi chaman main phuloon pay ati hai jab bahaar
Nagmoon main apne qisa sunati hai yeh hazaar
Rateen thin chandni joban pay thi bahaar
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment