*1503...Gham_e_Dost...Pak Old*
aaj ki raat gham_e_dost main shidat hay bohot
Jin sey ulfat thi bohot
Un sey shikayat hay bohot
Kitni yadeen hain chali ati hain kamzor o nadhaal
Gham_e_janaan ki kasha kash
Gham_e_doraan k sawaal
Chand ko chouney ki khawahish
Unheen paney ka khayal
Beshumaar aarzoueen hasrat o armaan wasaal
Umar apni inhi bekaar khayaloon main dhari
Chaaa geya phir unhi khabeda nigahoon ka fesoon
Zehin main khilney lagey phir teri yadoon k kanwal
Aaj phir hont tasawour main tere choom liye
Jazba_e_shoq sey honey lageen palkeen bojhal
Haey touti hay kahan ja k khayaloon ki kamand
Haey rangini aiyaam kahan sey laoun
Eeish o eshrat ka woh ek jaam kahan sey laoun
Rendi hafiz o khayam kahan sey laoun
Woh haseen subah woh haseen sham kahan se laoun
Merey aawara khayaloo mujhye so janey do
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment