koi chehra thehrta nahi koi aks chamakta nahi koi zar_e_umeed ka sira milta nahi haath kab say khaali hen khalaaon main uthaaye hoye kisi dua ko kabuliyat ka sharf milta nahi sab raayegaan lagta hy kissi riyazat ka summer milta nahi umeed_o_yaas main giray koi kahan jaye kis k paas jaye rasm_o_rawaaj ki kead main phansay hum log asulon ki laaj rakhty hoye apny paak be had paak jazbon ko apny peron talay rondany kiun lagty hen apny dill say, muhabat say nazren churaye kiss sakoon ki talash main sarkarda hen wo sakon kahan say aaye kon laaye keh koi sira milta nahi door kahen door, kissi roshani ki chaha main haath kab say khaali hen khalaaon main uthaaye hoye ye nasheab_o_faraz or hayat say fana ka safar kitna dushwaar lagta hy ye dukh kitna azeem hy keh meri fehm_o_farasat ko kahen koi suraagh milta nahi soch ko koi zaavia milta nahi muhabat hy k nafrat hy koi ishaara milta nahi is dill k tootay khanon main koi chehra ubharta nahi haath kab say khaali hen khalaon main uthaaye hoye kisi dua ko kabuliyat ka sharf milta nahi.... |
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment