Qaeel Hain Har Alfaaz Ke Jo Mujhse Kahe The Usne 'Akhtar', Wo Baat Aur Hai Wo Qaayam Na Reh Paya Kisi Bhi Tarah Se.Roz Ki Tarah Aaj Bhi Ashq Piye, Aahen Khaai 'Akhtar', Wo Aayenge Kab Aur Yeh Kissa Khatm Hoga Kab ?Taaqat Meeta Dene Ki Thi Unki Judaai Mein 'Akhtar', Koi Ummeed Hogi Baaki Jo Ab Tak Zinda Hai.Labb Pe Mera Naam Aate Hi Aankhe Zuka Leta Tha Wo 'Akhtar' Apne Ashq To Kahin Chhupata Nahin Tha Mujhse ?Raaz Koi Dafan Hai Uski Khamoshiyon Mein Yakinan 'Akhtar', Warna Bewafaii Ki Vajah To Batata Zaroor Kabhi Na Kabhi.Zaroori Nahin Ki Wo Bewafa Hi Ho 'Akhtar', Aur Bhi Kaii Majbooriya Rahi Hongi ShayadRooh Uski Aaj Bhi Bhatakti Hai Mere Aaspaas'Akhtar', Jism To Faani Hai, Kahin Hoga Idhar Udhar.Ashqon Ke Saath Behne Lagi Dastaan 'Akhtar', Puchhi Jo Vajah Vaada Todne Ki Unse.Aankhein Kholne Se Bhi Darta Hun Abb 'Akhtar' Khwab Mujhe Diya Tha Palkon Mein Us Ne Kabhi.Heraaferi Khwabon Ki Aksar Karte The Hum Unse 'Akhtar' Fark Itna Tha Wo Naddan Isse Mazzaq Samajh Baithe.Sauda Kuchh Yuun Huua Tha Unke Saath 'Akhtar' Saarii Khushiyan Unki Aur Saare Ghum Mere.Judaaii Mein Jo Haal Aksar Hota Hai Wahi Huaa'Akhtar', Hum Raah Takte Rahe Aur Wo Laute Hi Nahin Kabhi.Rabb Ki Koi Rehmat Sa Lagta Tha Wo 'Akhtar', Salaam Bhi Karta To Rooh Paak Ho Jaati Thi. Dhoondh Un Yadon Ki Jeene Nahin Deti Hai 'Akhtar', Ab Ke Wo Aaye To Kahin Jaane Na Dunga UnheKuchh Aam Si Ho Gayi Hai Yeh Zindagi 'Akhtar', Jinhone Khaas Hume Banaya Tha, Na Hone Se Unke.Raahat Degayi Yaadein Un Lamhon Ki Pyaar Ke 'Akhtar', Mere Dost Samjhe Abb Koi Ghum Nahin Raha Mujhe. WARM REGARDS, Akhtar khatri *****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
ALL THE MAILS POSTED BY ME R NOT MY PROPERTY, ALL R TAKEN FROM NET, IF SOMETHING IS COPYRIGHTED PLZ INFORM ME, SO THAT I MAY NOT POST THE MATERIAL IN THE FUTURE |
0 comments:
Post a Comment