Bismillah-irrahman-Nirrahim
Hadith Qudsi: Jisney mere kisi wali se Dushmani ki usey meri taraf se Elaan-e-Jung hai
(Allah Says I will declare war against him who shows hostility to a pious worshipper of Mine)
Urdu Translation:
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Allah subhanahu farmata hai Jisney mere kisi wali se Dushmani ki usey meri taraf se Elan-e-Jung hai aur Mera banda jin jin Ibadaton se Mera Qurb hasil karta hai (unmein se) koi Inbaadat mujhko us sey ziyada pasand nahi hai jo mainey us par farz ki hai ( jaisey Namaz ,Roza , Hajj , Zakat..)
Aur mera banda farz Ada karney ke baad Nawafil Ibaadat karkey mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us sey Muhabbat karney lag jata hu phir jab main us se Muhabbat karney lag jata hu to Main uska Kaan (ear) ban jata hu jis sey wo sunta hai, uski Aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai , uska haath ban jata hu jis sey wo pakadta hai , uska paaw (leg) ban jata hu jis sey wo chalta hai. Aur agar mujhse maangta hai to main usey deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai to main usey Mehfooz rakhta hu aur main jo kaam karna chahta hu usmein mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apney momeen bandey ki Jaan nikalney mein hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta
Sahih Bukhari, Vol 7, 6502
---------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said that , "Allah Subhanahu said, 'I will declare war against him who shows hostility to a pious worshipper of Mine. And the most beloved things with which My slave comes nearer to Me, is what I have enjoined upon him;
And My slave keeps on coming closer to Me through performing Nawafil (praying or doing extra deeds besides what is obligatory) till I love him, so I become his sense of hearing with which he hears, and his sense of sight with which he sees, and his hand with which he grips, and his leg with which he walks; and if he asks Me, I will give him, and if he asks My protection (Refuge), I will protect him; (i.e. give him My Refuge) and I do not hesitate to do anything as I hesitate to take the soul of the believer, for he hates death, and I hate to disappoint him."
Sahih Bukhari, Book #76, Hadith #509
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://magicsgifs.blogspot.com
http://magicsgifs.blogspot.com
http://magicsgifs.blogspot.com
***********************************
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani,Sitara Ansari, Lilly ,A k h t a r,Mumtaz Ali
Contact us at: llolli_bobby@yahoo.com
Aika_Rani@Yahoo.Com
akhtar_khatri2001@yahoo.com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
MARKETPLACE
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment