Wo Saath Chale Ek Hi Manzil Ki Aur Kuchh Durr Tak 'Akhtar' Na Khatm Honewala Rasta Hai Ab, Manzil-Saathi Chhut Gaye. Koi Kehden Unse Ki Aaj Hum Royen Nahin Hai 'Akhtar', Abb Unke Na Hone Ki Aadat Si Hoti Ja Rahi Hai. Sulook Aisa Hota Tha Unka Muhabbat Ke Dinon Mein 'Akhtar', Marte The Har Pal Jab Bhi Juda Mujhse Rehte The Junoon Meri Muhabbat Ka Wo Bayan Karte The 'Akhtar' Main Kahin Houn Paate The Hamesha Unke Saath Mein Har Ek Maslaa Tujh Par Aakar Thehra 'Akhtar', Abb Yuun Na Ho Ki Tu Hi Na Rahe Mere Saath Shub-E-Ghum Gujhar Rahi Hai Ahista Ahista, Kaun Jaane Kab Hoga Muhabbat Ka Savera Rooh Ki Awaaz Sun Li Thi Usne Jaate Waqt 'Akhtar', Abb Bhi Jhank Leta Hai Kabhi Kabhi Mere Mann Mein Ek Ilteja Hai Do Jahan Ke Malik Se Meri 'Akhtar', Jab Roun To Aansu Na Bahe Wo Jab Bhi Laute Kabhi. Wo Hansten Hai Meri Dardbhari Ghazlon Par , Bina Jaane Ki Yeh Dard Ki Vajah Kya Hai. Yeh Manzar Bhi Kya Manzar Hai, Dekho doston, Wo Hai Main Hun Fir Bhi Tanha Wo Hai Tanha Main Hun Nazron Se Sab Keh Jaana Aadat Thi Uski, Nasamjhi Ne Meri Juda Kar Diya Us Se Tasavvur Se Mehak Gaye Mere Khayalaat 'Akhtar' Deed Ka Alam Kya Hoga Abb Yeh Na Puchho Doston Deedar Gar Karlun To Jeelun Ek Pal Mein Kai Sadiyan 'Akhtar', Wo Nasha Kuchh Yuun Hoga Tere Jalwon Ka Aye Mehboob. Faasley Abb Darmiyan Ke Mit Jaayenge Ta-umra Ke Liye 'Akhtar' Bewafaii Usne Kubulee Hai, Aur Maine Bewafaii Ke Saath Usko. Chasm-e-Bad Se Be-Haal Hai Meri Muhabbat 'Akhtar' Wo Hamesha Khelte The Apni Nazron Se Mere Saath Wo Saath Chale Ek Hi Manzil Ki Aur Kuchh Durr Tak 'Akhtar' Na Khatm Honewala Rasta Hai Ab, Manzil-Saathi Chhut Gaye. Sharminda Hun Allah Se, Rahunga Sadaa 'Akhtar', Maanga Use Jise Wo Kabhi De Nahin Paayega Kabhi. Be-Waqt Roothna Uski Ada Huaa Karti Thi Kabhi 'Akhtar', Abke Wo Wo Rootha To Maana Hi Nahin Manaane Se. WARM REGARDS, Akhtar khatri *****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
|
0 comments:
Post a Comment