<>_<>Mujhse Door Rehkar<>_<>
Mujhse Door Rehkar Judai Ka Dard Jaan Jaayega
kuch Roz Tanha Rehkar Dard Ko Pehchaan Jaayega
Aaj Kehta Hai Woh Ke Kisi Ko Bhoola Dena Asaan Hai!!
Tadap Uthti Hai Rooh Jab Dil Se Khaali Koi Armaan Jaayega
Apne Dil Ke Iss Ghar mein Usse Panah Do Jo Kaabil Ho!!
Varna iss Ghar mein Aag Laga kar Hi Woh Mehmaan Jaayega
Naa Tujhse Koi Shikwa Naa Koi Gila Hai Humein!!!
Kisko Khabar Thi Ke Waqt Bhi Humse kabhi Bura Maan Jaayega
Dard Ho Dil Mein par Labon Par Koi Aah Nahi!!
Aise Halaat Mein Aakhir Kahan Koi Insaan Jaayega

0 comments:
Post a Comment