Jis Shaks K Bagair Guzara Na Ho Saka Ye Kiya Sitam K Who Bhi Hamara Na Ho Saka Ankhoon Na Jis K Wasta Sadiy“On Safar Kiya Who Youn Mila K Us Ka Nazara Na Ho Saka Main Na Har Ek Rukh Pay Nigahain Bikhair Din Lakin Badal Koi Bhi Tumhara Na Ho Saka Jo Rah-E-Guzar Ishq Main Pathar Banay Rahay Un Sa Kisi Bhi Tor Kinara Na Ho Saka Mujh Ko Kis Liya Shikwa Ho Gair Say Khud Jub Main Apnay Dukh Ka Sahara Na Ho Saka
--- On Tue, 7/12/11, sapna kamble <sapna_ashok9@yahoo.co.in> wrote:
From: sapna kamble <sapna_ashok9@yahoo.co.in> Subject: «*» RUKHSANA«*» Re: «*» RUKHSANA«*» Ay maut tumhe bhulaye zamaney guzar gaye To: Rukhsana@yahoogroups.com Date: Tuesday, July 12, 2011, 9:27 PM
Gam ke kisse me tera nam nahi Aayega, Bewafa tujhpe yun ilzam nahi Aayega, Dil to toda hai na ham todenge rasme wafa, Jal ke is aag me rakh bhi ho jayen to kya, Zuban pe dard ka nishan nahi Aayega, Bewafa tujh pe yun ilzam nahi Aayega !
--- On Sun, 10/7/11, Anil Sahani <anilsahani91@yahoo.in> wrote: From: Anil Sahani <anilsahani91@yahoo.in> Subject: «*» RUKHSANA«*» Ay maut tumhe bhulaye zamaney guzar gaye To: "Rukshana" <Rukhsana@yahoogroups.com> Date: Sunday, 10 July, 2011, 2:36 PM
Ay maut tumhe bhulaye zamaney guzar gaye Aa ja kay zehar khaye zamane guzar gaye
Oh janay walay aa kay tere intezaar main Raste ko ghar banaye zamane guzar gaye
Gham hai, na ab khushi hai, Na umeed hai na yaas Sab se nijaat paye zamane guzar gaye
Kya laiq-e-sitam bhi nahi ab main dosto..? Pathar bhi ghar main aye zamaney guzar gaye
Jaan-e-bahaar phool nahi, admi hoon main Aa jaa kay muskuraye zamaney guzar gaye
Kya kya tawaqoaat thiin Aahon se ay humar Yeh teri bhi chalaye zamane guzar gaye Anil Sahani
|
|
0 comments:
Post a Comment