Dil jab se khud hua tabahi ka manzar apna
Missal bana sahar mai tanhayeyo ka ghar apna
Ab kya karu Ezhar-e-Waqt-e-shaqt ka geela
Bas jano patthar bhi chupye fire hai sar apna
Mere ek Qatra-e-ashq ka sawaal aa pada
Gareban jhankta raha sadiyo samunder apna
Dekh le jo khawabo mai bhi mujhe to Qayamat jaaniye
Dhole ashqo se nazar hai dushman is kadar apna
Aankho par intzaar sar par fikrey rozgaar le chale
Jaari hai zindagi yu jaari zindagi ka safar apna
Chunta hu uski neend ki raaho se bikhre kaante
Sajata hu bade naajo se fir bistar apna
Ghumo ko de kar zakhmo ki kasam roka maine "raju"
Jaha rahta hai mera Qatil na kare rukh udhar apna...~`
0 comments:
Post a Comment