Dill ka Dukh kisse sunaayein ?
Kahiye hum kaise prem badhayein ?
Nahi baat yeh hai ek dinn kee
Uljhan hai yeh kai barson kee......
Ghar ka Dukh waqt meetaaye
Dill ka Dukh chalta jaaye
Chaahe lagaalo kitne he chashme
Dill ka Dukh nazar naa aaye
Taal-mel hum kaise bithlaayein
Dill ka Dukh kisse sunnayein......
Mein purab wo pashchhim jaate
Vichaar hamaare kahaan mil paate
Ab mein chahti Desh-videsh gumnaa
Swayam prograame ve nahi banaate
Aaye nimantran bhee wo thukraate
Jo mein chaahu kabhi akeli jaanaa
Mujh par sau-sau pratibandh lagaate
Ab hum kisko panch banaayein
Dill ka dukhdaa kisse sunnayein.......
Meri unkee naa ruchi ek si
Mile naa koi bhi baat ek si
Mirch nahi mein bilkul khaati
Inko mirch adhik hai bhaati
Mein daliya tou wo biscuit khaate
Phir kya roz haandi alag pakaayein
Dill ka Dukh kisse sunnayein.......
Baatein hum kam he kar paate
Jab bhee karte ulajh he jaate
Mein tou kuchh bhi bhul na paaun
Pal bhar mai wo sab bisraate
Uljhe dhaage kaise suljhayein
Dill ka Dukh kisse sunnayein.......
Desh kya perdesh bhi deekhlaayein
T.V. par sab kuchh darshaayein
Eschhayein Dill ki Dill me reh jaayein
Hirey ka chaahe wo haar dilwaayein
Dill ki bhaashaa samajh naa paayein
Umra beeti ab kya batlaayein
Dukha aapas ka meit naa paayein
Har baar hum he chup ho jaayein
Dill ka Dukh kisse sunnayein.......
Achha hai mein chup ho jaaun
Beeti baatein sab beesraaun
Vyarth mai Dukh kyu badhaaun
Samay rehte sambhal he jaaun
Phir se tou daantt nahi khaaun
Bin inke bhi ab reh nahi paaun
Kahiye hum kaise prem badhayein ?
Nahi baat yeh hai ek dinn kee
Uljhan hai yeh kai barson kee......
Ghar ka Dukh waqt meetaaye
Dill ka Dukh chalta jaaye
Chaahe lagaalo kitne he chashme
Dill ka Dukh nazar naa aaye
Taal-mel hum kaise bithlaayein
Dill ka Dukh kisse sunnayein......
Mein purab wo pashchhim jaate
Vichaar hamaare kahaan mil paate
Ab mein chahti Desh-videsh gumnaa
Swayam prograame ve nahi banaate
Aaye nimantran bhee wo thukraate
Jo mein chaahu kabhi akeli jaanaa
Mujh par sau-sau pratibandh lagaate
Ab hum kisko panch banaayein
Dill ka dukhdaa kisse sunnayein.......
Meri unkee naa ruchi ek si
Mile naa koi bhi baat ek si
Mirch nahi mein bilkul khaati
Inko mirch adhik hai bhaati
Mein daliya tou wo biscuit khaate
Phir kya roz haandi alag pakaayein
Dill ka Dukh kisse sunnayein.......
Baatein hum kam he kar paate
Jab bhee karte ulajh he jaate
Mein tou kuchh bhi bhul na paaun
Pal bhar mai wo sab bisraate
Uljhe dhaage kaise suljhayein
Dill ka Dukh kisse sunnayein.......
Desh kya perdesh bhi deekhlaayein
T.V. par sab kuchh darshaayein
Eschhayein Dill ki Dill me reh jaayein
Hirey ka chaahe wo haar dilwaayein
Dill ki bhaashaa samajh naa paayein
Umra beeti ab kya batlaayein
Dukha aapas ka meit naa paayein
Har baar hum he chup ho jaayein
Dill ka Dukh kisse sunnayein.......
Achha hai mein chup ho jaaun
Beeti baatein sab beesraaun
Vyarth mai Dukh kyu badhaaun
Samay rehte sambhal he jaaun
Phir se tou daantt nahi khaaun
Bin inke bhi ab reh nahi paaun
Dill ka Dukh kisse sunnaaun.......
Uljhi Gutthi Kaise Suljhaaun...........
Uljhi Gutthi Kaise Suljhaaun...........
Rose!
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment