<>_<>Gam rahaa jab tak ki dam mein dam rahaa<>_<>
Gam rahaa jab tak ki dam mein dam rahaa
dil ke jaane kaa nihaayat Gam rahaa
dil ke jaane kaa nihaayat Gam rahaa
husn thaa teraa bahot aalam fareb
Khat ke aane par bhii ik aalam rahaa
mere rone kii haqiiqat jis mein thii
ek muddat tak vo kaaGaz nam rahaa
jaamaa-e-eharaam-e-zaahid par na jaa
thaa haràm mein lekin naa-maharam rahaa
[jaamaa-e-eharaam=robe worn on Haj; naa-maharam=immodest/impure]
0 comments:
Post a Comment