Ajeeb tarha se utri he ab k tanhai
Dewar-o-dar se barasne lagi he tanhai
Ye mere ghar ki udaasi se dar gaei shayed
Lipat k mujh se galay ro rahi he tanhai
Chalo k sham hui ab to lotna he mujhe
K mere ghar pe meri muntazir he tanhai
Men ja k us ko sonata hoon hal-e-dil apna
Phir apna haal sonati he mujh ko tanhai
Wo rasta ho k manzil ho ya k mehfil ho
Meri rafeeq meri raazdaar tanhai
Barhi talaash se us ko mila he ghar mera
Phiri he merey liay dar badar ye tanhai
Kabhi yahan bhi to qadmon ki aahaten aaen
Mujhi se kehne lagi he ye meri tanhai
__._,_.___
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
**********************************
Moderators Rukhsana Group:
Kazakhstani1303 & Mumtaz Ali.
Contact us at: kazakhstani1303@gmail.com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
**********************************
Moderators Rukhsana Group:
Kazakhstani1303 & Mumtaz Ali.
Contact us at: kazakhstani1303@gmail.com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment