Khud se karun sawaal...
Khud se karun sawaal
to kya jawaab milega,
Kaagaz pe likhun naam
to kya chehra woh dikhayi dega.
Kyon suboh ki har kiran
ek naya paigaam laati hai,
Kyon shaam ki woh laali
kuch yaadein chor jaati hai,
In yaadon ko yun sajaa
loon to kya kissa wohi banega.
Kyon barkha ki tip-tip
boondein sangeet suna jaati hein,
Kyon baadalon mein
chamakti roshni andheron ko mita jaati hai,
In andheron se jo bahar
niklun to kya aakash wohi dikhega.
Kyon phoolon ki bahaarein
khushboo bikher jaati hain,
Kyon pattiyon ki sar-saraahat khaamoshi mita jaati hai,
Is khaamoshi ko jo todun
to kya nagama woh sunaai dega.
Kyon sochta hun mein ke
un yaadon ko sanjo loonga,
Andheron ko roshan karunga
aur khaamoshi mita doonga.
Par jo sochta hoon mein
kya mujhko woh saahil milega,
Kaagaz pe likhun naam to
kya chehra woh dikhayi dega.
Khud se karun sawaal to kya jawaab milega?
----------------------------------------------------------
hum tumhare hain barson se tumhare hi rahenge....
koi kuch bhi karle...hum kabhi juda na honge....
tum iss terha-se meri zindagi main shamil ho ke..
door tum chale bhi javo mujhse...
Jahan bhi dekho ge...tum sirf humain hi paayoge...
iss terha se hum tumhari ankhon main rahenge
Agar saath do to apne zakhmoun ko see loon
Bebasi ke har lamhe ko ek ghoont mein pee loon
Pal bhar muskura ke to dekho
Shayad isi bahane do ghari aur jee loon
**********************************
Moderators Rukhsana Group:
Kazakhstani1303 & Mumtaz Ali.
Contact us at: kazakhstani1303@gmail.com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
0 comments:
Post a Comment