*1642...Do Dilon Ko...Pak Old* Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch naheen milta Manderoon se charagoon ko bujha kar kuch nahen milta Hamari soch ki parwaaz ko roke naheen koi Naey aflaak par pahere betha kar Kuch naheen milta Koi ek adh sapna ho toh phir acha lagta hai Hazaroon khawab aankhon main saja kar Kuch naheen milta Use kahna k palkon par na tanke khawaboon ki jhalar Samandar k kanare ghar bana kar Kuch naheen milta Yeh acha hai k apas k bharam na toutne payeen Kabhi bhi do diloon ko aazma kar Kuch naheen milta Faqat tum se hi karta houn main sari raaz ki bateen Har aik ko daastan e dil suna kar Kuch naheen milta Amal ki sukhti rag main zara sa khoon shamil kar Mere humdam faqat bateen bana kar Kuch naheen milta Mujhe aksar sitaroon se yehi awaaz ati hai Kisi k hijr main nendeen ganwa kar kuch naheen milta Jigar ho jaey ga chalni yeh aankheen khoon roeengi Kabhi be faiz logoon se nibha kar kuch naheen milta |
0 comments:
Post a Comment