*1631...Teri Bahoon Main...Pak Old* Waqt k uper bichi zindagi besaat hai Hai kisi ko shey yahan aur kisi ko maat hai Apna apna kheel hai apni apni chaal hai Har qadam pay hai bicha sazishoon ka jaal hai Kuch hain aise bhi yahan jante hain jo huner Moor deen bazi ka rukh marzi se chaheen jidhar Par naheen woh jante muamlah pesh e nazar Har ujale main chupi ek andheri raat hai Koun aya zindagi main yun dabe paoun Dhuop main kuch dair ko ho gai chaaoun Is ghari main jee uthey chae mar jaoun Teri bahoon main maron yeh khushi ki baat hai Apna apna kheel hai apni apni chaal hai Har qadam par bichaa sazishoon ka jaal hai Zindagi k kheel main sochte hain sab yehi Kuch na kuch tatbeer se jeet jayeen ge wohi Par woh sab nadaan hain woh toh bas hain potliyaan Kismatoon ki door toh kisi aur hi k hath hai |
0 comments:
Post a Comment