Logon Se Kehte Sunaa Hai Aksar Maine,
Ke Sitaare Uske Aangan Ki Sair Karte Hain,.
Humne Bhi Sitaaron KI Tarah Tootkar
Humne Bhi Sitaaron KI Tarah Tootkar
Kisi Ki Hasrat Poori Ki Thi,
Kya Unke Aangan Mein Mera Jaana Mumkin Hai...
Kya Unke Aangan Mein Mera Jaana Mumkin Hai...
Rose!
From: iqbal sheikh <iqbalyat@gmail.com>
To:
Sent: Tuesday, April 17, 2012 1:14 PM
Subject: «*» RUKHSANA«*» suna he
Suna he log usse aankh bhar ke dekhte hen
So us ke shehr men kuch din thehr ke dekhte hen
Suna he rabt he us ko kharab haalon se
So apne aap ko bar-baad kar ke dekhte hen
Suna he dard ki gahak hen chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hen
Suna he us ko bhi he shaer-o shayari se shaghaf
So ham bhi mojzay apnay hunar ke dekhte hen
Suna he bolen to baaton se phool jharhtay hen
Ye baat he to chalo baat kar ke dekhte hen
Suna he raat usse chaand tak'ta rehta he
Sitaray baam-e falak se utar k dekhtay hen
Suna he hashar hen us ki ghazaali si aankhain
Suna he us ko hiran dasht bhar ke dekhte hen
Suna he din ko usse titliyan sataati hen
Suna he raat ko jugno thehr ke dekhte hen
Suna he raat se barh kar hen kakulan us ki
Suna he sham ko saae guzar ke dekhte hen
Suna he us ki siyaah chashmagi qiyamat he
usse surma farosh aankh bhar ke dekhte hen
Suna he us ke labon se gulaab jhalakte hen
to ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hen
Suna he aaina tamsal he jabeen-naaz us ka
Jo saada dill hen ban sanwar ke dekhte hen
Suna he jab se hamail hen us ki gardan men
Mizaaj aur hi laal-o guhar ke dekhte hen
Suna he chashm-e tasavur se dasht-e imkan men
Palang zaawiya us ki kamar ke dekhte hen
Suna he us ke badan ke tarash aisay he
Ke phool apni qabayain qatar ke dekhte hen
Woh sarooqad he magar begul-e muraad nahi
K us shajar pe shagoofay samar ke dekhte hen
Bas ek nigaah se lut'ta he qafila dil ka
So rahrawaan-e tamanna bhi darr ke dekhte hen
Suna hai us ke shabistan se muta'sil he behisht
Makeen udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hen
Rukay to gardishain us ka tawaaf karti hen
Chalay to us ko zamaane thehr ke dekhte hen
Kisay naseeb k be perahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o deewaar ghar ke dekhte hen
Kahaniyan hi sahi sab mubalghay hi sahi
Agar woh khawb he tabeer kar ke dekhte hen
Ab us ke shehr men thehrain ke kuch kar jayen
Faraz aao sitaaray safar ke dekhte henWith Best Regards,Mohammad Iqbal,H.R. Department ,Nass The Group,Manama,Kingdom Of Bahrain.Phone : +97317725522mobile : +97339056265Fax : +97317826037
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment