har tamaashai faqat sahil se manzar dekhta
kon dariya ko ulat'ta kon gohar dekhta
wo to duniya ko meri diwaangi khush aa gai
tere haathon main wagarna pehla pathar dekhta
aankh main ansoo jaari the par sada tujh ko na di
is tawaqqo par ki shayad too palat kar dekhta
meri qismat ki lakirain mere hathon main na theen
tere maathe par koi mera muqaddar dekhta
zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah
kis ko itna hosala tha kon ji kar dekhta
doobne wala tha aur sahil pe chehron ka hujoom
pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar ke dekhta
too bhi dil ko ik lahoo ki boond samjha hai 'Faraz'
aankh gar hoti to qatre main samandar dekhta
This e-mail is confidential and may contain legally privileged information. If you are not the intended recipient, you should not copy, distribute, disclose or use the information it contains, please e-mail the sender immediately and delete this message from your system. Note: e-mails are susceptible to corruption, interception and unauthorised amendment. Nass The Group, does not accept liability for any such changes, or for their consequences. You should be aware that we may monitor your e-mails and their content.
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment