जब तेरी धुन में जिया करते थे, हम भी चुपचाप फिरा करते थे। आँख में प्यास हुआ करती थी, दिल में तूफान उठा करते थे। लोग आते थे गज़ल सुनने को, हम तेरी बात किया करते थे। सच समझते थे तेरे वादों को, रात-दिन घर में रहा करते थे। किसी वीराने में तुझसे मिलकर, दिल में क्या फूल खिला करते थे। घर की दीवार सजाने के लिए, हम तेरा नाम लिखा करते थे। वो भी क्या दिन थे भूलाकर तुझको, हम तुझे याद किया करते थे। जब तेरे दर्द में दिल दुखता था, हम तेरे हक़ में दुआ करते थे। बुझने लगता था जो तेरा चेहरा, दाग़ सीने में जला करते थे। अपने आँसू भी सितारों की तरह, तेरे ओठों पर सजा करते थे। Jab tere dhun mein jiya karte the Hum bhi chup chaap phira karte the Aankhon mein kuch piyaas hua karti thi Dil mein tufaan utha karte the Log aate the gazal sunne ko Hum teri baat kiya karte the Such samajthe the tere waado ko Raat din ghar mein raha karte the Kisi weraney mein tujh se mil kar Dil mein kiya phool khila karte the Ghar ki diwaar sajane ki khatir Hum tera naam likha karte the Woh bhi kiya din the, tujhe bhula kar Hum tujh ko hi yaad kiya karte the Kal tujhe dekh kar yaad aaya Kabhi hum bhi mohabbat kiya karte the WARM REGARDS, Akhtar khatri *****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
ALL THE MAILS POSTED BY ME R NOT MY PROPERTY, ALL R TAKEN FROM NET, IF SOMETHING IS COPYRIGHTED PLZ INFORM ME, SO THAT I MAY NOT POST THE MATERIAL IN THE FUTURE |
0 comments:
Post a Comment