Rang pairahan ka, khushboo zulf lehrane kaa naam Mousam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam Doston us chasm-o-lab ki kuch kaho, jiske bagair Gulistaan ki baat rangeen hai, na mehkhane ka naam Phir nazar mein phool mehke, dil mein phir shamayen jali Phir tasavvur ne liya us bazm mein jane ka naam Dilbari thehra zabaan-e-khalk khulwane ka naam Ab nahin lete pari-roo zulf bikhrane ka naam Ab kisi laila ko bhi ikraar-e-mehboobi nahin In dinon badnaam hai har ek deewane ka naam Muhatsib ki khair, uncha hai usi ke faiz se Rind ka, saaki ka,may ka, khum ka, paimane ka naam. Hum se kehte hain chaman vale, gareebane chaman Tum koi accha sa rakh lo apne veerane ka naam Faiz unko hai takazaa-e-vafa humse jinhe Aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam.
WARM REGARDS,
Akhtar khatri *****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
ALL THE MAILS POSTED BY ME R NOT MY PROPERTY, ALL R TAKEN FROM NET, IF SOMETHING IS COPYRIGHTED PLZ INFORM ME, SO THAT I MAY NOT POST THE MATERIAL IN THEFUTURE |
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.indiaonlinefm.com
http://www.indiaonlinefm.com
http://www.indiaonlinefm.com
***********************************
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Lilly ,A k h t a r,Mumtaz Ali
Contact us at: llolli_bobby@yahoo.com
Aika_Rani@Yahoo.Com
akhtar_khatri2001@yahoo.com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment