" Mohabbatoun Ke Chiragh " "Nafratoun Ke Showlay" Mere Dil Ki Raakh Kureed Mat Usey Muskura Ke Hawa Naa De Mere Dil Ke Aag ko Mat Bada Usey Muskarar Kar Hawa Na De Yeh Chiragh Phir Bhi Chiragh Hai Kahin Tera Hath Jala Naa De Yeh Chiragh Nai Ek Shola Hai, Kahin Tuje Raakh Naa Bana De Naye Daur Ke Naye Khawab Hain Naye Mousmoun Ke Gulab Hain Purane Daur ke Purana Zakham Hai, Ujde Mousmoun ke Kante Nahi Yeh Mohabbatoun Ke Chiragh Hain inhe Nafratoun Ki Hawa Naa De Yeh Nafratoun ke Shola Hain Inhe Mohabbat Ke Naye Khawab Naa Dika Zara Dekh Chand Ki Pattiyoun Ne Bikhar Bikhar Ke Tamaam Shabb Tera Naam Likha Hai Rait Per , Zar Dekh Suraj ki Roshni Bikhar Bikhar Ke Inteqaam key Tamaam Dastan Tere Liye Likha Hai Pathoro Par, Koi Lehar Aa Kar Mita Naa De Tha ke Koi Lehar Aa Ke Isay Mita Naa De Main Udasiyan Naa Saja Sakoun in Jisam-O-Jan Ke Mazaar Par Main Armano ka Sage Saja Sakoun Isi Jisam-O-Jan Ke Mazaar Par Na Diye Jalay Meri Aankh Mein Mujhy itni Sakht Saza Naa De Meri Inteqaam Tham Jaye Aisa Naraam Toufa Na De Mery Sath Chalne Ka Shoq Mein, B adi Dhoop Uthaoge Muj par Fatha Pane ke Shoq Mein Bade Duk Uthaoge Tera Naqsh Hai Moom Ka, Kahin Gham Ki Aag Pighla Naa De Tera Fatur Hai Zaher ka Kahin Mera Inteqaam Key Aag Jalaa Na De Main Ghazal Ki Shabnami Aankh Se Yeh Dukho Ke Phool Chuna Karoun Mere Aankh ke Angaro Se Sukhe Kaante tuje Chuba Saku Meri Saltanat Mera Fun Hai , Mujhy Taj-O-Takht KHUDA Naa De Isiliye Muje, Takt-O-Taj Na De Mera Inteqham Mera Maqsad Hai Composed by Mr. Jhangir Muhammad Written By Mrs Rubina Yasmeen
Awaiting for any Criticism Kahawat Hey Insaan Jaisey Mahol Mey Raheta Hey Uske Aadato Mey Tabdeeli Aati Hey. Isiliey Muje Bhi Shayari Ka Shouq Hogaya Thanks & Best Regards Mrs Rubina Yasmeen |
0 comments:
Post a Comment