<>_<>'Yeh jahan teri sonch se bhi dour tha' <>_<>
Jab tu paida huwa kitna majboor tha
Yeh jahan teri sonch se bhi dour tha...
Haath paaon bhi tab tere apney na thay
Teri ankhon main duniya ke sapney na thay...
Tujh ko aata sirf rona hi tha
Doodh pi ke kaam tera sona hi tha...
Tujh ko chalna sikhaya tha maa ne teri
Tujh ko dil main basaya tha maa ne teri...
Maa ke saaye main parwaan chadne laga
Waqt ke sath qad tera badne laga...
Dhirey dhirey tu kadiyal jawan ho gaya
Tujh pe saara jahan meharban ho gaya ...
Zor-e- bazoo pe tu baat karne laga
Khud hi sajney laga khud sanwarney laga...
Ek din ek ladki tujhe bhaa gayei
Ban ke dulhan woh tere ghar agayei...
Ab faraayez se tu door honay laga
Beej nafrat ka khud hi tu boney laga....
Phir tu maa baap ko bhi bhulaaney laga
Teer baton ke phir tu chalaney laga...
Baat be baat unn se tu ladney laga
Qayda ek naya tu phir padnay laga...
Yaad kar tujh se maa ne kaha ek din
Abb humara guzara nahin tere bin...
Sunn ke yeh baat tu tayesh main agaya
Tera gussa teri aqal ko kha gaya ...
Josh main aake tu ne yeh maa se kaha
Main tha khamosh sab dekhta hi raha...
Aaj kehta hoon peecha mera chor do
Jo hai rishta mera tum se woh tod do...
Jao ja ke kahin kaam dhanda karo
Log marte hain tum bhi kahin ja maro...
Bait kar aahen bharti thi maa raat bhar
Inki aahon ka tujh par howa na asar...
Ek din baap tera chala rooth kar
Kaise bikhri thi phir teri maa toot kar...
Phir woh bhi bas kal ko bhulati rahi
Zindagi isko har roz satati rahi...
Ek din maut ko bhi taras agaya
Iska rona bhi taqdeer ko bha gaya ...
Ashk ankhon main thay woh rawana huwi
Maut ki ek hichki bahana huwi...
Ek sukoon us ke chehre pe chaaney laga
Phir tu mayyat ko uski sajaney laga...
Muddatain ho gayi aaj booddha hai tu
Tooti khatiya pe pada bora hai tu...
Tere bacche bhi abb tujh se dartey nahi
Nafraten hain, muhabbat woh kartey nahi...
Dard mein tu pukare ke "o meri maa"
Tere dam se hi roshan the dono jahan...
Waqt chalta rahta hai waqt rukta nahi
toot jata hai woh jo ke jhukta nahi...
Bann ke ibrat ka tu abb nishaan reh gaya
Dhoondh ab zor tera kahan reh gaya ...
Tu ahkaam-e-rabbi bhulata raha
Apne maan-baap ko tu satata raha...
Kaat le tu wohi, tu ne boya tha jo
Tujh ko kaise miley tu ne khoya tha jo...
Yaad kar ke gaya daur, tu rone laga
Kal jo tu ne kiya aaj phir hone laga...
Maut maange tujhe maut aati nahin
Maa ki surat nigahon se jati nahi...
Tu jo khanse tu aulad daantey tujhe
Tu hai nasoor sukh kaun baantey tujhe...
Maut ayegi tujh ko magar waqt par
Bann hi jaye gi qabar teri waqt par...
Qadar maa baap ki gar koi jaan le
Apni jannat ko duniya main pehchan le...
Aur leyta rahe woh badaun ki dua
Usi ke dono jahan, uska haami khuda...
Yaad rakhna her aulaad is baat ko
Bhool jana na rehmat ki barsat ko......
Aaj Bhi Wakt he..
Maa Baap Ki Sewa Kar Lo....
__._,_.___
Posted by: Vipan <iamvipan@yahoo.com>
Reply via web post | • | Reply to sender | • | Reply to group | • | Start a New Topic | • | Messages in this topic (1) |
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
**********************************
Contact us at:
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
**********************************
Contact us at:
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment