`ab yaad aate hain to aksar yaad aate hain`
toti hai mere neend magar tum ko is sa kiya?
bajtay rehain hawoon sa daar ' tum ko is sa kiya?
tum moj moj masl-e-saba ghoomtay ho
kat jayin mere sooch k par ' tum ko is sa kiya?
auroon k hath thamo ' onhain rasta dekhoo
mein bhool jaoon apna hi ghar ' tum ko is sa kiya?
abar-e-garaze pa ko barasnay sa kiya garaz?
seepi mein ban na pay gohar' tum ko is sa kiya!
la jayin mujhy ko maal-e-ganeemat k sath adoo
tum na tu daal di hai sapar ' tum ko is sa kiya?
tum na tu thaak ker dasht mein kham-ay laga liya
tanha katay kisi k safar ' tum ko is sa kiya?
bhulati lakh hoon laiken barabar yaad aate hain
ilahi tark-e-ulfat per woh kuin-kar yaad aate hain
na cher aae hum-nashin kaifiayat sehba ke afsane
sharab be-khudi ke mughe ko sagar yaad aate hain
raha kerte hain qaid hosh mein aae wale nakami
woh dasht khud faramoshi ke chakar yaad aate hain
haqeeqat khul gai tere tark-e-mohabbat ki
abb woh pehle se bhi barh ker yaad aate hain
nahi aati to yaad un ki mahinon tak nahi aati
magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain`
Rose!
0 comments:
Post a Comment