`Meri Kahani..`
Kahte hai jindagi ek kahani hoti hai,
Magar hum to ek badnaam kissa banker rah gaye.
Magar hum to ek badnaam kissa banker rah gaye.
Khud ki jindagi ki kahani to likhi nahi,
Auron ki kahani ka ek hissa banker rah gaye.
Auron ki kahani ka ek hissa banker rah gaye.
Har pal uske hothon par hum hansi late rahe,
Uski ek khushi ke liye apni har khusi lutate rahe.
Uski ek khushi ke liye apni har khusi lutate rahe.
Khud ki hansi to bhool hi gaye hum,
Auron ki khushi ka jariya banker rah gaye.
Auron ki khushi ka jariya banker rah gaye.
Kyon ujale ke bina vo jee nahi pati hai,
Kyon andhera vo sah nahi pati hai.
Kyon andhera vo sah nahi pati hai.
Khud ka ghar jalakar bhi hum,
Auron ki roshni ka jariya banker rah gaye.
Auron ki roshni ka jariya banker rah gaye.
Pyar vo bepanah karti hai kisi se,
Kyon khuda cheen leta hai mera pyar mujhi se.
Kyon khuda cheen leta hai mera pyar mujhi se.
Khud to mohbbat me mil na paye hum dono,
Auron ko milane ka jariya banker rah gaye.`
Auron ko milane ka jariya banker rah gaye.`
Rose!
0 comments:
Post a Comment