*1645...Zindagi Shart Hai...Pak Old* Zindagi shrt hai ab phool khileen ya na khileen Tuh sath chale ya na chale zindagi shrt hai Suraj ki shuaoon ki tarha khawaboon k saraboon ki tarha Zindagi shart hai Jene walon se kaho chand se jane k liye Jena parta hai Kahi zakhm uthane k liye Ab main samjha k tere lafz ki nisbat jaana Dil pay woh ho k gulabi ka nasha acha tha Tuh ne samjh main tere rang chura loun ga kabhi Mere tindal se woh tera gilah acha tha Jhilmilati hui har sham k dorahey par Main ne dekha hai tujhey chand sitaroon ki tarha Main ne chaha hai bas itna aey meri jaan e jahan Tuh mere paas rahe saya e zajdaan ki tarha Tuj ko pa kar main kisi aur ko pana chahoun Mout aa jaey jo main phir marna chahoun Aey mere taroon ki tout ti zameen Meri har aas jagaey rakhna Apne aanchal ko sajaey rakhna Yaad rakhna k kisi bhi surat tuj ko chalna hai Muskarana hai Zindagi shrt hai yeh shart nibhana hai tujhey |
0 comments:
Post a Comment