*1638...Woh Chaand Ka Humsafar Hai...Pak Old* Woh muj se hi milta julta hai Dil ka bura hai aur na bewafa hai Lafzoon ki hadoon se maora hai Abkis se kahon woh shakhs kia hai Woh meri ghazal ka aaina hai Har shere mera use janta hai Rag rag main us ka tazkara hai Aur dil main woh bas raha hai Main us ki ana ka aasra houn Woh muj se kabhi naheen routhta hai Main dhuop k ban main jal raha tha Woh saya e abr ban geya hai Kabhi bichra na mila hai lekin Lagta hai azl se janta hai Kuch bolta hai na pouchta hai Aisa naheen k laboon ko see liya hai Woh chand ka humsafar hai shayad K chandni main muj ko sochta hai Kahne ko juda hai muj se Par meri ragoon main gunjta hai Lagta hai k woh hai kuch pareshan Yeh jee mera tabhi rohansaa hai Ek khoof sa hijr ki rutoon ka Donoon pay moheet ho chala hai Main bhi dara dara sa houn lekin Rahg us ka bhi ura ura sa hai Ek rah se main bhi gureza houn Ek moor par woh bhi ruk gaya hai Ek pal ko kia jhapki aankheen Manzar wohi khawab dusara hai Sochoon toh tahir jate hain zamane Dekhon toh woh doour nikal geya hai Qadmoon se zameen sarak gai hai Surag ka rang bhi sanwala hai Jalte huwe sans rok gaey hain Thaira huwa jism lagta hai Sahmain huwe pair kanpte hain Patoon main heraas ringta hai Lagta hai jis main khawab theey mehfooz Woh kanch ka ghar chatakh raha hai Ham donoon ka dukh aik jaisa hai Ehsaas bas juda juda hai Kal shab jo khush tha khawaboon main Din main kion udaas lag raha hai Aisa lagta hai us ki aankhon main Dukh ka badal koi bhara huwa hai Us k bechain getoon se ab Mere ashaar ka shehar gunjta hai |
0 comments:
Post a Comment