*1635...Mujhye Humsafar Bhi...Pak Old* Mujhye apne zabt pe naaz tha Sar_e_bazm raat yeh kia huwa Meri aankh kaise chalak gai Mujhye rang hay yeh bura huwa Meri zindagi k cherag ka Yeh andaaz koi naeya naheen Kabhi roshni kabhi tairgi Kabhi jala huwa kabhi bujha huwa Mujhye jo bhi dushman_e_ jaan mila Wohi poukhta kaar wafa mila Na kisi ki zarb galat pari Na kisi ka teer khata huwa Hameen itna bhi koi haq k Shareek_e_bazm hayaat hoon Na hamare paas naqab hay Na aasteen main kuch chupa huwa Mujhye raaste main para huwa Kisi badnaseeb ka khat mila Kaheen khun_e_dil se likha huwa Kaheen aansuon se mit"ta huwa Mujhye hamsafar bhi mila koi To shekasta haal thaka huwa Kaheen raastoon ka thaka huwa Kaheen manzelon ka luta huwa | |
0 comments:
Post a Comment