*1554...Rah e Ulfat K Musafir...Pak Old*
Kaise kaise raaste dekhla rahi hai zindagi
Kitne khawaboon main hameen uljha rahi hai zindagi
Gardish e ayaam se ghabra rahi hai zindagi
Thokareen har ek qadam pay kha rahi hai zindagi
Aaj rang o gham sahi kal din khushi k aeen gey
Dherey dherey dil ko yun bahla rahi hai zindagi
Rah e ulfat k musafir goor kar kuch soch toh
Chaltey chalte hi guzrti ja rahi hai zindagi
Sath jene sath marne ki kasam jab khai thi
Phir akelah choor kar kion ja rahi hai zindagi
Dil KHUDA ki yaad se gafil raha toh kion raha ?
Betey lamhoon par pachta rahi hai zindagi
Aik din jana hai ham ne sab kuch choor kar "Hakeem"
Lamha lamha baat yeh samjha rahi hai zindagi
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment