AURAT:
Huzoor-e-Akram (SALALLAHO ALAYHE WASALLAM) k pass Hazrat Asma Binte Buraid Ansari(Radi Allah Taala Anha) ayeen, us waqt kuch Sahaba bhi maujood thay.
Hazrat Asma(Radi Allah Taala Anha): Ya Rasool Allah! Meray Maa Baap aap per Qurbaan. Mein aurton ki numainda ban kar aap k pass ayi hun. Hum sub aik aqeeda rakhtay hain, aur KHUDA aur AAP per eeman rakhtay hein, Laikin:
...
* Hum aurtain ghar mein qaid o band rehti hain.
* Apnay mardon k aagay Ser Tasleem Kham kiay rehti hain.
* Un ki khuwahishaat ko pura karti hein, aur bachay paid karne aur un ki parwarish ki takaleef uthaati hein.
Aur Mard
* Namaz-e-Jama'at, aur Namaz-e-Jumma mein shirkat kartay hein
* Namaz-e-janaza mein shirkat, aur Mareezon ki ayaadat ko jaatay hein
* Subha o Shaam Ziaraat-e-Muqaddasa kartay hein
* Jihaad mein shaamil hotay hein
* Aur bauhat se kaamon mein hum per bartai rakhtay hein
Huzoor(Huzoor-e-Akram (SALALLAHO ALAYHE WASALLAM) k pass) ne Ashaab se farmaya:
"Is aurat ki Deeni Masaa'il k baaray mein behtreen guftugoo tum logon ne suni?"
Ashaab: "Ya Rasool Allah! Suni, lakin is k jawab se na-waaqif hain"
Rasool(Huzoor-e-Akram (SALALLAHO ALAYHE WASALLAM) k pass):
"(Aye Asma!) Jao, Tamam khawateen ko ye ittila do k ye tamam kaam karna, aur takaleef uthna Shauhar se naiki aur ata'at karna, ye sub kaam (Ajr-o-Sawaab mein) wo hi darja o maqaam rakhtay hein, jo mardon k aa'maal rakhtay hein."
Janab-e-Asma(Radi Allah Taala Anha) khushi khushi aur tasbeeh kartay huay Bargaah-e-Risaalat se rukhsat huin.
---------------------------------------------------------------------------
* Janab-e-Zahra(Radi Allah Taala Anha) ne chakkiaan pees kar, aur ghar k tamam kaam khud baja laa kar, aur kaneez Fizza ki maujoodgi mein bhi aik din Fizza aur aik din kaam k liay apni baari le kar khawateen ki behtreen rahnumayi farmayi hai.
* Isi tarah Mard ko chahiay k aurat ki khidmaat ka aitraaf karay, aur aksar us ki mehnat ka shukria ada karay. Us ki zaruriaat aur khushion ka khayaal rakhay, aur aisa rawayya apnaye rakhay, jis se aurat ki hausla afzayi hoti rahay, aur wo itni mehnat k baad mayoos, aur zehni thakaawat ka shikaar na ho jaye.
* Fateh-e-Khaibar Saahib-e-Zulfiqar Imam Ali(Radi Allah Taala Anhu) aksar daal saaf karnay aur deegar kaamon mein Bibi(S.A) ki madad kartay, aur un ki beemaari ki soorat mein un k hissay ka kaam Fizza(S.A) se karwanay k bajaye khud anjaam detay.
Pur-sukoon zindagi sirf Deen per amal k zariay hi mumkin hai........
0 comments:
Post a Comment