Mein Usay Dekh kay Heraan Huii Phirti Hoon
Wohi Gati Hoee Aankhain Wohi Andaz-e-Kalaam
Wohi Gulnar Tabassum Se Mehakta Chehra
Wohi Khush Rang Kharaam Narm Lehjay Me Terannum Ki Wohi Gul Kari
Jaisay Woh Kaal Ki Gayee Aaj Chalee Aae Ho
Jaisay Sub Jag K Kati Hoe Kali Ratain
Surd Kamray Me Thetherti Hoe Sochain Yadain
Raat Bhar Roi Hoe Aankh Say Bheegay Takiay
Aur Talu Se Chimtay Hoay Karway Lamhay
Meray Behkay Hoay Khawaboon Kay Tarashida Thay
Mein Ne Soocha Tha Guzartay Hoay Karway Lamhay
Uskay Talu Say Bhi Chimtay Hongay
Uskay Takyoon Pe Bhi Meri Yadeen
Ashk Bun Bun Ke Tapakti Hongi
Sard Raatoon Me Sim-e-Tanhai
Uski Neendoon Ko Bhi Khata Ho Ga
Uski Aankhoo Me Magar Dard Ka Saya Bhi Na Tha
Jaisay Woh Guzray Hoay Waqt Se Guzri Hi Na Thi
Jaisay Usnay Mujhay Chaha Hi Na Tha
Yun Mujhay Samnay Pa Ker Woh Harasan Na Hoe
Meray Be-Rabt Sawaloon Se Pareshan Na Hoee
Apnay Manoos Tabassum Me Tarannum Bhar Ker
Mujh Se Chaltay Hoay Bola, Hello
Shair-e-Waqt !!!!!!! Kaho Kaisi Ho
Mein Usay Dekh Kay Heraan Huii Phirti Hoon.
0 comments:
Post a Comment