Gilay Fuzool Thay Ahad-E-Wafaa Ke Hote Huey, So Chup Rahaa Sitam-E-Naaravaa Ke Hote Huey, Ye Qurbaton Men Ajab Faasale Pade Ki Mujhe, Hai Aashnaa Ki Talab Aashnaa Ke Hote Huey , Wo Hi Laaghar Hain Jo Majabooriyaan Shumaar Karen, Chiraagh Ham Ne Jalaaey Hawa Ke Hote Huey, Na Kar Kisi Pe Bharosa Ke Kashtiyaan Doobin, Khuda Ke Hote Huey Naakhudaa Ke Hote Huey, Kise Khabar Hai Ki Kaasaa-Ba-Dast Phirte Hain , Bahut Se Log Saron Par Humaa Ke Hote Huey, 'Faraz' Aise Bhi Lamhe Kabhi Kabhi Aaye, Ki Dil Girafta Rahaa Dil-Rubaa Ke Hote Huey.
WARM REGARDS, Akhtar khatri*****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
ALL THE MAILS POSTED BY ME R NOT MY PROPERTY, ALL R TAKEN FROM NET, IF SOMETHING IS COPYRIGHTED PLZ INFORM ME, SO THAT I MAY NOT POST THE MATERIAL IN THE FUTURE |
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment