Aasmaan sey inaayatain na tujhey mileen na mujhey mileen
Mohabbaton sey raahateinna tujhey mileen na mujhey mileen
Hamein aashiqi mein sach mila hamein zindagi mein sab milaMagar
be'wafaai ki aadateinna tujhey mileen na mujhey mileen
Udhar tu dua mein laga raha idhar mein dua mein lagi rahi
Par mannaton sey haajateinna tujhey mileen na mujhey mileen
Thi aarzu kabhi saahilon peterey saath saath hum chal sakein
Par samandaron sey ijazateinna tujhey mileen na mujhey mileen
Jis zindagi ki khaahishon mein so rat-jagon mein sajood keeye
Us zindagi ki bashaarateinna tujhey mileen na mujhey mileen
Hasraton ke deeyon ko aag kabhi tu ney di kabhi mein ney di
Magar roshni ki alaamateinna tujhey mileen na mujhey mileen
Na to terey dard rukey kaheen na merey zakhm bharey kabhi
Sabar-o-shukar ki haalateinna tujhey mileen na mujhey mileen
Teri manzilein kahein aur theinmeri manzilein kahein aur thein
Kisi aek simt ki musafateinna tujhey mileen na mujhey mileen
Tu thehar gaya kisi aur ke ghar mein ruk gaii kisi aur ke darr
Man-pasand si chaahateinna tujhey mileen na mujhey mileen
Hamaari pur_khaloos neeyatonsey manzilein kyun chin gaein!
Muqaddaron sey wazahateinna tujhey mileen na mujhey mileen
0 comments:
Post a Comment