*1480...Farq Kion Hay...Pak Old*
Kabhi aah lab pe machal gai
Kabhi ashq aankh se dhal gaey
Yeh tumare gham k chrag hain
Kabhi bujh gaey kabhi jal gaey
Main khayaal_o_khuwab ki mahfilen
Na baqadre shoq saja saka
Teri ek nazar k sath hi
Mere sab iraade badal gaey
Jo fana huwe ghamain ishq main
Unhain zindagi ka na gham huwa
Jo na apni aag main jal sake
Woh parai aag main jal gaey
Tha unhain bhi meri tara junoon
To phir un main muj main yeh farq kyun
Main greft_e_gham se na bach saka
Woh hadoud gham se nikal gaey
Yeh tumare gham k chrag hain
Kabhi bujh gaey kabhi jal gaey
Kabhi aah lab pe machal gai
Kabhi ashq aankh se dhal gaey
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment