<<<<<<<<<<<Naseeb >>>>>>>>>>>> Ek pal Nahin jab Tumhe Humne Pukaara Nahin Meri Naakamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiye Agar aap Jeete Hain to Main Haara Nahin Ye Naqsh-e-Dard Kasay Utar Jaaye Chehre Se Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahin Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein Kashti Bhi Hai Moojhi bhi hai,Kinaara Nahin Kar Rakhaa Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahin Kisko Gale Lagaa Ke Rooyen Na-Muraad Hum Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahin Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab Gahre Hain Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahin Wo aa Ke Poonchh Den Aansu Hamari Aankhon Se Itna bhi Hamare Haq Mein Naseeb Hamara Nahin |
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment