Barhay mukhtsir se haroof men koi gehri baat suna gya
kisi khawab sa koi shakhs tha jo sehr se pehlay chala gya
Humen aasman se gila nhi teri rehmaton pe yaqeen he
jahan zindagi ne shikist di kisi mojzay ne bacha lia
Kisi mehrban ki duaaon se ye safar naseeb hua mujhe
jinhen rehbari ka gharoor tha unhen raaston ne mitaa dia
Sada hansty rehnay ka hosla teri aarzoo ne ata kia
barhay gehray zakhm the waqt ne jinhen rafta rafta bhula dia
Teri dosti ki ye peshkash barhi dilfraib lagi magar
woh jo etibaar ka wasf tha kahin dil se door chala gya
Koi waqt tha ke ye naam bhi barha motabir tha jahaan men
woh jo tery ishq ka dor tha humen ba kamaal bana gya
This e-mail is confidential and may contain legally privileged information. If you are not the intended recipient, you should not copy, distribute, disclose or use the information it contains, please e-mail the sender immediately and delete this message from your system. Note: e-mails are susceptible to corruption, interception and unauthorised amendment.
0 comments:
Post a Comment