MOHBAT
Mohbat ous(dew) ki surat
Pyasi pankhri k hoont ko sairab krti hai
Guloon ki aastinoo main anokhy rang bharti hai
Seher k jhatpaty main'gungunati'muskrati'jagmgati hai
Mohbat k dino main dasht b mehsos hota hai
Kisi fardos ki surat
Mohbat ous ki surat
Mohbat abr(Cloud)ki surat
Dilon ki ser zmeen py ghir k aati or brasti hai
Chman ka zara zara jomta hai muskrata hai
Azal ki by nmoon matti main sabza ser uthata hai
Mohbat un ko b aabad or shadab kerti hai
Jo dil hain kabr ki surat
Mohbat abr ki surat
Mohbat aag(Fire)ki surat
Bujy seenon main jalti hai tu dil bydar hoty hain
Mohbat ki tpash main kuch ajab israr hoty hain
K jitna yeh bhrkti hai'arus-e-jan mehkti hai
Dilon k sahilon per jamaa hoti or bikharti hai
Mohbat' jag ki surat
Mohbat' aag ki surat
Mohbat khwab ki surat
Nigahon main utarti hai kisi mahtab ki surat
Sitary arzoo k is tarh sy jagmgaty hain
K pehchani nhe jati dil-e- bytab ki surat
Mohbat k shjar per khwab k panchi utarty hain
Tu shakhain jaag uthti hain
Thaky hary sitary jab zmeen sy bat kerty hain
Tu kab ki muntzir aakhon main
shmain jag uthti hain
Mohbat en main jalti hai chragh-e-aab ki surat
Mohbat khwab ki surat .
Mohbat dard ki surat
Ghuzishta mosmoon ka ist-aara ban k rehti hai
Inshan-e-hijr main roshan sitara ban k rehti hai
Mundairon per chraghon ki loain jab tharthrati hain
Nger main na umeedi ki hwain sansnati hain
Gali main jab koi aahat koi saya nhe rehta
Dukhy dil k liy jab koi b dhoka nhe rehta
Ghamoon k boj sy jab totny lagthy hain shany tu
Yeh un py haat rekhti hai
kisi hum dard ki surat
Ghuzar jaty hain sary kafly jab dil ki basti sy
Fiza main tairti hai dair tak
Yeh ghard ki surat
Mohbat dard ki surat !
White Rose
0 comments:
Post a Comment