Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin imkan jana
yaad kya tujh ko dilayain tera paiman jana
Yon hi mausam ki ada dekh ke yad aaya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jana
Zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jana
Dil ye kahta hai ki shayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya bat karain dil to hai nadan jana
Avval-avval ki muhabbat ke nashe yad to kar
bepiye bhi tera chehara tha gulistan jana
Akhir akhir to ye alam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jana
Muddaton se ye alam na tawaqqo na ummeed
dil pukare hi chala jata hai jana jana
Hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakha tha
gham-e-dauran se juda hai gham-e-jana jana
Ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaran jana
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jana
Har koi apni hi awaz se kanp uthata hai
har koi apne hi saye se hirasan jana
Jis ko dekho wahi zanjir-ba-pa lagta hai
shahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jana
Ab tera zikr bhi shayad hi gazal main aye
aur se aur hua dard ka unwan jana
Hum ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jana
Hosh aya to sabhi khwab the reza-reza
jaise udate huye auraq-e-pareshan jana
--
when A person is afraid of
somthinG then hE goes away FRom
iT But
if A person fears
ALLAH he comes near to
ALLAH
0 comments:
Post a Comment