Shikwa: Kiyoon Ziyaan Kaar Banoon Sood Faramoosh Rahoon? Fikr E Farad Na Karoon, Mehw E Gham Doosh Rahoon Nalay Bulbul K Sunoon Aur Hamatan Goosh Rahoon Hamnawa! Mein Bhi Koi Gul Hoon K Khamoosh Rahoon? Jurrat A Mooz Taree Tab E Sukhn, Hai Mujh Ko Shikwa Allah Say Khakum Ba Dahan, Hai Mujh Ko Hai Baja Shaywa E Tasleem Mein Mashoor Hein Hum Qissa Dard Sunatay Hein K Majboor Hein Hum Saaz Khamoosh Hein, Faryaad Say Ma'moor Mein Hum Nalaa Aata Hai Agar Lab Pay, To Ma'zoor Hein Hum Ay Khuda! Shikwa E Arbab O Wafa Bhi Sun Lay Khogar E Hamd Say Thora Sa Gila Bhi Sun Lay Thi To Mojood Azal Say He Taree Zaat Qadeem Phool Tha Zaib E Chaman, Par Na Pareshaan Thi Shamim Shart Insaaf Hai Ay Sahib E Altaf E Ameem Bo E Gul Phailti Is Tarhe Jo Honti Na Nasim Hum Ko Jamiat E Khatir Yeah Pareshaani Thi Warna Ummat Teray Mehboob Ki Deewani Thi. Hum Say Pehlay Tha Ajab Tairay Jahan Ka Manzar Kaheen Mazjood Thay Pathar Kaheen Ma'bood Shajar! Khogar E Paiker E Mehsoos Thi Insaan Ki Nazar Manta Phir Koi Un Daikhay Khuda Ko Kiokar Tujh Ko Maloom Hai Laita Tha Koi Naam Tera? Quwwat E Baazo E Muslim Nai Kiya Kaam Tera! Bus Rahay Thay Yah een Saljooq Bhi, Torani Bhi Ehl E Chee Cheen Mein, Irani Mein Sasani Bhi Isi Ma'moor Mein Aabad Thay Yonani Bhi Isi Dunya Mein Yahoodi Bhi Thay Nasrani Bhi Per Tairay Naam Per Talwaar Uthaii Kiss Nai? Baat Jo Bigri Howi Thi, Wo Banaii Kiss Nai? Thay Hameen Aik Teray Ma'ar K Aaraoon Mein Khushkiyoon Mein K abhi Lartay, Kabhi Daryaaon Mein Dee Azanein Kabhi Europe K Kaleesaoon Mein Kabhi Afreeqa K Taptay Hoay Sehraon Mein Shaan Aankhon Mein Na Jajti Thi Jahandaaron Ki Kalima Parhtay Thay Hum Chaaon Mein Talwaaron Ki Hum Jo Jeetay Thay, To Jangoon Ki Musibat K Liyeah Aur Martay Thay Teray Naam Ki Azmat K Liyeah Thi Na Kuch Zani Apni Hakomat K Liyeah Sir Bakaf Phirtaythey Kia Dehr Mein Dolat K Liyeah Qaum Apni Jozaro Maal Jahan Per Marti But Farooshi K Iwaz But Shikni Kiyoon Karti! Tal Na Sakay Thay, Agar Jang Mein Urh Jatay Thay Paoon Shairoon K Bhi Maidaan Say Ukhar Jatay Thay Tujh Say Sirkash Howa Koi, To Bigar Jatay Thay Taigh Kia Cheez Hai? Hum Toap Say Lar Jatay Thay Naqsh Toheed Ka Her Dil Pay Bithaya Hum Nai Zeer E Khanjar Bhi Yeah Paighaam Sunaya Hum Nai Tu He Keh Day K Ukhara Dar Khyber Kiss Nai Shehr E Qaiser Ka Jo Tha Is Ko Kiya Sir Kiss Nai? Toray Makhlooq Khudaoon K Paiker Kiss Nai? Kaat Ker Rakh Diyeah Kuffar K Lashkar Kiss Nai? Kiss Nai Thanda Kia Aatish Kada E Iran Ko? Kiss Nai Phir Zinda Kia Tazkara E Yazdaan Ko? Kaun Si Qaum Faqat Teri Talabgaar Howi? Aur Teray Liyeah Zehmat Kash E Paiker Howi? Kiss Ki Shamsheer Jahangir, Jahandad Howi? Kiss Ki Takbeer Say Dunya Teri Baidaar Howi? Kiss Ki Haibat Say Sanam Sehmay Hoay Rehtay Thay Moun K Bal Girtay Ho Allah Ho Ahad Kehtay Thay Agaya Yain Larai Mein Agay Waqt E Namaaz Qibla Ro Ho K Zameen Boos Hoee Qaum E Hijaaz Aik He Sif Mein Kharay Ho Ga'ay Mehmood O Ayaaz No Koi Banda Raha Na Koi Banda Nawaaz Bunda O Sahib O Muhtaaj O Ghani Aik Hoay Teri Sarkaar Mein Pohchay To Sab He Aik Hoay Mehfil E Kon O Makaan Mein Sehr O Shaam Phiray Maye Tauheed Ko Lay Ker Saft E Jaam Hoay Koh Mein, Dasht Mein Lay Ker Tera Paighaam Phiray Aur Maa'loom Hay Tujh Ko Kabhi Nakaam Phiray Dasht To Dasht Hein Darya Bhi Na Choray Hum Nai Behr E Zulmaat Mein Dora Diyeah Ghoray Hum Nai Saf A E Dehr Say Baatil Ko Mitaya Hum Nai No'h Insaan Ko Ghulami Say Churaya Hum Nai Tere Kaa'bay Ko Jabeenoon Say Basaya Hum Nai Tere Quran Ko Seenon Say Lagaya Hum Nai Phir Bhi Hum Say Yeah Gila H K Wafadaar Nahi Hum Wafadar Nahi, Tu Bhi To Dildaar Nahi Ummatein Aur Bhi Hein, Is Mein Gunaahgaar Bhi Hein Ijz Walay Bhi Hein Mast Maye Pandaar Bhi Hein In Mein Kaahil Bhi Mein, Ghaafil Bhi Hein, Hushyaar Bhi Hein Sainkroon Hein Jo Tere Naam Say Beezar Bhi Hein Rehmatein Hein Teere Aghyaar K Kashaanon Per Barq Girti Hai To Becharay Musalmaanon Per But Sanam Khaanon Mein Kehtay Hein Musalmaan Ga'ay Hai Khushi Un Ko K Kaa'bay K Nigahbaan Ga'ay Manzil E Dehr Say Oonton K Hudi Khuwaan Ga'ay Apni Baghloon Mein Daba'ay Hoay Quraan Ga'ay Khanda Zan Kufr Hai, Ehsaas Tujhay Hai K Nahi? Apni Tauheed Ka Kuc h Paas Tujhay Hai K Nahi? Yeah Shikayat Nahi, Hein In K Khazanay Maa'moor Nahi Mehfil Mein Jinhein Baat Bhi Karnay Ka Sha'oor Qehr To Yeah Hai K Kaafir Ko Milein Hoor O Qusoor Aur Becharay Musalmaanon Ko Faqt Wada O Hoor Ub Woh Altaf Nahi, Tum Pay Inayaat Nahi Baat Yeah Kia Hai K Pehli Si Madaraat Nahi? Kiyoon Musalmaanon Mein Hai Dolat Dunya Nayaab Tairee Qudrat To Hai Woh Jinki Na Had Hai Na Hisaab Tu Jo Chahay To U thay Seena E Sehra Say Habaab Rehro E Dasht Ho Seeli Zada Mooj Saraab Taa'n E Aghyaar Hai, Ruswaai Hai, Nadari Hai Kia Tere Naam Pay Marnay Ka A'wiz Khuwari Hai? Bani Aghyaar Ki Ub Chahnay Wali Dunya, Reh Gayi Apnay Liyeah Aik Khayali Dunya! Hum To Rukhsat Hoay Auron Nai Sambhali Dunya Phir Na Kehna Howe Tauheed Say Khaali Dunya! Hum To Jeetay Hein K Dunya Mein Tera Naam Rahay Kaheen Mumkin Hai K Saaqi Na Rahay, Jam Rahay? Tairee Mehfil Bhi Gayi, Chahnay Walay Bhi Ga'ay Shab Ki Aahein Bhi Ga'een, Subh K Lalay Bhi Ga'ay Dil Tujhay Day Bhi Ga'ay, Apna Sila Lay Bhi Ga'ay Aa K Baithay Bhi Na Thay Aur Unka Lay Bhi Ga'ay Aa'ay Aashiq, Ga'ay Waa'da O Farda Lay Ker Ub Unhein Dhoon d Charaagh Zeba Lay Ker Dard E Laila Bhi Wohi, Qais Ka Pehlo Bhi Wohi Bukhd K Dasht O Jabl Mein Ram Aaho Bhi Wohi Ishq Ka Dil Bhi Wohi, Husn Ka Jaadu Bhi Wohi Ummat E Ahmad Mursal Bhi Wohi, Tu Bhi Wohi Phir Yeah Aazird Gayi Ghair, Sabab Kia Maa'ni? Apni Shaidaaon Pay Yeah Chashm Ghazab Kia Maa'ni? Tujh Ko Chora K Rusul E Arabi Ko Chora But Gari Paisha Kia, But Shikni Ko Chora Ishq Ko, Ishq Ki Aashiftasri Ko Chora Rasm E Salman O Oais Qarni Ko Chora Aag Takbeer Ki Seenon Mein Dabi Rakhtay Hein Zindagi Masl E Bilal Habshi Rakhtay Hein! Ishq Ki Khair, Who Pehli Si Ada Bhi Na Sahii Jad O Paimaayi Tasleem O Raza Bhi Na Sahii Maghtarab Dil Sift E Qibla Numai Bhi Na Sahii Aur Pabandi Aa'een E Wafa Bhi Na Shii Kabhi Hum Say. Kabhi Ghairoon Say Shanasaayi Hai Baat Kehnay Ki Nah i To Bhi Tu Harjayi Hai Sir E Faaran Pay Kiya Deen Ko Kamil Tu Nai, Ik Isharay Mein Hazaroon K Liyeah Dil To Nai Aatish Andooz Kiya Ishq Ka Haasil Tu Nai Phoonk Di Garme E Rukhsaar Say Mehfil To Nai Aaj Kiyoon Seenay Hamaray Sharr Aabad Nahi? Hum Woji Sokhta Samaan Hein, Tujhay Yaad Nahi? Wadi E Bukhd Mein Who Shor E Silasal Na Raha Qais Deewana Nazara Mehmil Na Raha! Hoslay Who Na Rahay, Hum Nai Rahe, Dil Na Raha Ghar Yeah Ujra Hai K To Ronaq E Mehfil Na Raha Ay Khushaan Rooz K Aayi O Burasnaz Aayi Bay Hijaba Na Soye Mehfil Ma Baaz Aayi! Baad A Kash Ghair Hein Gulshan Mein Lab Jo Baithay Suntay Hein Jam Bakaf Naghma Ko Koo Baithay! Daur Hangama E Gulzaar Say Yaksuu Baithay Tere Deewanay Bhi Hein Muntazir Hu Baithay! Apnay Parwaoon Ko Phir Zauq E Khud Afroozi Day Barq E Daireena Ko Farmaan E Jigar Soozi Day Qaum E Aawara Aan Ta'ab Hai Phir So'ay Hijaaz Lay Ura Bulbul E Bayper Ko Mazaaq E Parwaaz Muztarib Baagh K Her Ghunchay Mein Hai Boo'ay Niyaaz Tu Zara Chair To Day, Tishna E Mazraab Say Saaz Naghmay Baytaab Hein Taaron Say Nikalnay K Liyeah Toor Muztir Hai, Ise Aag Mein Jalnay K Liyeah *Mushkilein Ummat E Marhoom Ki Aasan Ker Day Mooribe Maya Ko Humdoosh E Sulmaimaan Ker Day Jins E Nayaab Muhabbat Ko Phir Arzaan Ker Day Hind K Dair E Nasheenon Ko Musalmaan Ker Day Jo'ay Khoonmee Chakraaz Hasrat Deerena E Ma Mee Tapeedna Lab E Nashtar Kar Day Seena E Ma Bo'ay Gul Lay Gayi Bairoon E Chaman, Raaz E Chaman Kia Qayamat Hai K Khud Phool Hein Ghammaz E Chaman Ehd E Gul Khatm Hua, Toot Gaya Saaz E Chaman Urh Ga'ay Daaliyo on Say Zamzama Pardaaz E Chaman Aik Bulbul Hai K Yeah Mehw E Tarannum Ub Tak, Is K Seenay Mein Hai Naghmoon Ka Talatum Ub Tak Qumryaan Shaakh Sanoobar Say Gurezaan Bhi Hoween Pattiyan Phool Ki Jar Jar K Pareshaan Bhi Hoween Who Purani Rawishein Baagh Ki Weeran Bhi Hoween Daaliyan Pairhun E Bargh Say Uryaan Bhi Hoween Qaid E Mosam Say Tabiyat Rahi Aazad Is Ki Kaash Gulshan Mein Samajhta Koi Faryaad Is Ki Lutf Marnay Mein Hai Baaqi, Na Maza Jeenay Mein Kuch Maza Hai To Yehi Khoon E Jigar Peenay Mein Kitnay Baytaab Hein Johar Maray Aaiinay Mein Kiss Qadr Jalway Tar aptay Hein Mere Seenay Mein Is Guliastaan Mein Magar Daikhnay Walay He Nahi Daagh Jo Seenay Mein Rakhtay Hoon Who Lalay He Nahi Chaal Is Bulbul E Tanha Ki Nawasay Dil Hoon Jaagnay Walay Isi Bang E Dara Say Dil Hoon Ya'ni Phir Zinda Naye Ehd E Wafa Say Dil Hoon Phir Isi Bada E Daireena K Piyasay Dil Hoon Ajami Khum Hai To Kia, Maay To Hijazi Hai Meri Naghma Hindi Hai To Kia, Lay To Hijazi Hai Meri Qaum E Aawara Aan Ta'ab Hai Phir So'ay Hijaaz Lay Ura Bulbul E Bayper Ko Mazaaq E Parwaaz Muztarib Baagh K Her Ghunchay Mein Hai Boo'ay Niyaaz Tu Zara Chair To Day, Tishna E Mazraab Say Saaz Naghmay Baytaab Hein Taaron Say Nikalnay K Liyeah Toor Muztir Hai, Ise Aag Mein Jalnay K Liyeah Bo'ay Gul Lay Gay i Bairoon E Chaman, Raaz E Chaman Kia Qayamat Hai K Khud Phool Hein Ghammaz E Chaman Ehd E Gul Khatm Hua, Toot Gaya Saaz E Chaman Urh Ga'ay Daaliyoon Say Zamzama Pardaaz E Chaman Aik Bulbul Hai K Yeah Mehw E Tarannum Ub Tak, Is K Seenay Mein Hai Naghmoon Ka Talatum Ub Tak Qumryaan Shaakh Sanoobar Say Gurezaan Bhi Hoween Pattiyan Phool Ki Jar Jar K Pareshaan Bhi Hoween Who Purani Rawishein Baagh Ki Weeran Bhi Hoween Daaliyan Pairhun E Bargh Say Uryaan Bhi Hoween Qaid E Mosam Say Tabiyat Rahi Aazad Is Ki Kaash Gulshan Mein Samajhta Koi Faryaad Is Ki Lutf Marnay Mein Hai Baaqi, Na Maza Jeenay Mein Kuch Maza Hai To Yehi Khoon E Jigar Peenay Mein Kitnay Baytaab Hein Johar Maray Aaiinay Mein Kiss Qadr Jalway Taraptay Hein Mere Seenay Mein Is Guliastaan Mein Magar Daikhnay Walay He Nahi Daagh Jo Seenay Mein Rakhtay Hoon Who Lalay He Nahi Chaal Is Bulbul E Tanha Ki Nawasay Dil Hoon Jaagnay Walay Isi Bang E Dara Say Dil Hoon Ya'ni Phir Zinda Naye Ehd E Wafa Say Dil Hoon Phir Isi Bada E Daireena K Piyasay Dil Hoon Ajami Khum Hai To Kia, Maay To Hijazi Hai Meri Naghma Hindi Hai To Kia, Lay To Hijazi Hai Meri.
WARM REGARDS,
AKHTAR KHATRI No credit for me...credit to EVERYONE for sharing *****help what we can with others in need...the world is ONE big family*****
ALL THE MAILS POSTED BY ME R NOT MY PROPERTY, ALL R TAKEN FROM NET, IF SOMETHING IS COPYRIGHTED PLZ INFORM ME, SO THAT I MAY NOT POST THE MATERIAL IN THE FUTURE |
__._,_.___
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.indiaonlinefm.com
http://www.indiaonlinefm.com
http://www.indiaonlinefm.com
***********************************
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Lilly ,Mumtaz Ali
Contact us at: llolli_bobby@yahoo.com
Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
.
__,_._,___
0 comments:
Post a Comment