"Naikiyoun Ka Samar" Har Insaan Ko Yaqeen Hai Duniya Ki Zindagi Aarzi,Muqtasar,Faani, Naapayadar Hai Ek Na Ek Din Mout iss Zindagi Ko Khatam Kardegi, Laikin isske Bawjood Log Chahte Hain Ke Zindagi Taweel Ho, Khoob Lambi Umr Mile Ke Jaise Poorane Zamane Me "Aab-E-Hayat" Aur Najane Kin Kin Mafroozoun Ko Mashoor Karke Taweel Umr Ya Hamesha Zinda Rehne Ke Husool Ka Falsafa Paish Kiya Jata Tha, insaani Tareeq Me Kayi Dour Aise Guzre Hain Ke Logoun Ne Hazaroun Saal Zindagi Paayi Hai Laikin Aaqir Me Mout Ne Aakar Ye Chiraag Bujha Diya islam Ne Apne Manne Waloun Ko Duniya Ki Zindagi Ke 2 Aham Maqsad Samjhaye Hain
1 - Allah ki ibadat 2 - Aaqirat Ki Fikr
Yeh Do Ahem Usool Hain Ke Musalmaan Ko Duniya Ki Saari Zindagi inhi Do Usooloun Ke Tahet Guzarni Chahiye Jahan Tak Zindagi Ka Taweel Hone Ya Umr Ke Badh Jaane Ka Talouq Hai Toh iss Silsile Me Ye Rehnumai Ki Gayi Hai Ke Yeh Allah Subhana Wa Talah Ki Khudrat Aur Usski Marzi Par Hai Ke Woh Apni Maqlooq Me Se Kisko Kitni Zindagi Ataa Karta Hai…?? Waqt Ka Ghatna Badhna Allah Ka iqtiyaar Hai.. Lihaza Wo Agar Chahe Toh iss Faasle Ko Sameit De Aur Agar Chahe Toh Usse Phaila De Asal Maqsad-E-Zindagi Ya Umr Ka Ghatna (kam Hona Khatam Hojana Ya Usska Badh Jana) Aur Zyada Hojana Nahi Hai Balke Asal Baat Toh Ye Hai Ke insaan Ne Zindagi Kaise Guzari ????? Ita"at Guzar Bandagi iqtiyaar Ki Ya Nafarmani Wali Zindagi Guzari ?? iss Liye Ahadees Me Aise insaan Ko Khushnaseeb Qaraar Diya Gaya Hai Jo Apni Duniya Ki Zindagi Taweel Paaye Aur isse ibadat Wo ita'at Ki Toufeeq Bhi Mile Aur Doosri Taraf Yun Kaha Gaya Ke Wo insaan Tabah Wo Barbaad Hogaya Jise Umr Lambi Mili Laikin Ussne iss Umr Taweel Ko ita'at Ke Bajaye Naafarmani Me Guzar Di…… Aap Sabki Dua Ki Talib Mrs Rubina Yasmeen Join My Group http://groups.yahoo.com/group/yaadein_meri
|
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.freewebs.com/rukhsanafm
http://www.indiaonlinefm.com
http://www.indiaonlinefm.com
http://www.indiaonlinefm.com
***********************************
Enjoy your stay at Rukhsana Group.
Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Lilly ,Mumtaz Ali
Contact us at: llolli_bobby@yahoo.com
Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com
**********************************
0 comments:
Post a Comment