" Jo Guzar Gaya "
Hama-Waqt Ranj-o-Malal Kiya Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya Use Yaad Ker ke Naa Dil Dukha jo Guzar Gaya So Guzar Gaya Naa Gila Kiya, Naa Qafa Hua, Younhi Raaste Mein Juda Hue Naa Tu Bewafa, Naa Mein Bewafa Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya Woh Ghazal Ki Ek Kitaab Tha Woh Gulloun Main Ek Gulaab Tha Zara Deir Ka Koi Khawab Tha Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya Mujhe PatJharoun ki kahaniyan Naa Suna Suna Ke Udaas Kar Tu Qizan Ka Phool Hai Muskura Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya Woh Udas Dhoop Samait Ker Kahin Wadiyoun Me Uter Chuka Usse Ab Naa De Mere Dil Sada Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya Yeh Safar Bhi Kitna Taweel Hai Yahan Waqt Bhi Kitna Khaleel Hai Kahan Laut Ker Koi Aayega Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya Woh Wafaien Thien Ke Jafaien Thien Yeh Naa Soch Kiski Khatien Thien Wo Teri Hai Usko Gale Laga Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya Tujhe Aitbaar-O Yaqeen Nahi Nahi Dunya itni Buri Nahi Naa Malaal Kar Mere Saath Aa jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
Thanks & Best Regards Mrs RubinaYasmeen Join My Group http://groups.yahoo.com/group/yaadein_meri
|
0 comments:
Post a Comment